Friday 17 August 2012

jindagi

Jindagi ko jo maine samjha andar se,
ye kisi ki marji se sarakti hai,
ye mere, teri marji se nahi, uski marji se chalti, sarakti, doorti hai,
main to mann hoo, sapne buna karta hoo,
jindagi to khuda ne buni hai, likhi hai,
main to jindagi ki tasveer mann se, dimag/budhi se dekhta hoo,
magar iske upar se jindagi ko jo dekhta hai, wo to tolkar, mol bhav kar likhta hai,
main to khawab dekhta hoo ki jindagi kya hai, hogi,
magar andar se jindagi jo maine samjhi, mere mann ka khilona ban rulti hai,
meri budhi ki chadar odhe ye jhooth dikhti hai,
ya aur andar ki baat hai ki jindagi uski marji se chalti hai

No comments:

Post a Comment